usi ke qurb mein rah kar hari bhari hui hai sahaare ped ke ye bel jo khadi hui hai abhi se chhoti hui ja rahi hain diwaren abhi to beti zara si meri badi hui hai bana ke ghonsla chidiya shajar ki banhon mein na jaane kis liye aandhi se dari hui hai abhi to pahle safar ki thakan hai panw mein ki phir se juti pe juti meri padi hui hai nai ruton ke muqaddas bulawe to hain magar salib wadon ki jo rah mein ek gadi hui hai main hath bandhe hue laut aai hun ghar mein ki mere pars mein ek aarzu mari hui hai agar bichhadne ka us se koi malal nahin 'shabana' ashk se phir aankh kyun bhari hui hai