sham ke baad sitaron ko sambhalne na diya raat ko rok liya chand ko dhalne na diya mauj-e-baatin kabhi auqat se bahar na gai had ke andar bhi kisi shai ko machalne na diya aag to chaaron hi jaanib thi par achchha ye hai hosh-mandi se kisi chiz ko jalne na diya ab ke mukhtar ne muhtaj ki diwar ka qad jitna mamul hai utna bhi nikalne na diya jin buzurgon ki wirasat ke amin hain hum log un ki qabron ne kabhi shahr badalne na diya