phir aankhon se ojhal ho kar tu ne kaisa rup bhara

phir aankhon se ojhal ho kar tu ne kaisa rup bhara
chaaron taraf be-rang hawaen taron tak be-ant khala

lamhon ki mehman thi goya rishton ki mearaj yahan
waqt se pahle sab kuchh dekha waqt pada to kuchh bhi na tha

dil ke sadaf se ubhra moti nazron ka arman liye
duniya ne aansu kah dala jhat palkon se tut gira

aawazon ke is jangal mein khamoshi ka ped kahan
sargoshi ka rup dhaar le chhanw mein jis ki dil ki sada

tham hawa ka daman 'rahi' aao hum bhi langh chalen
lafzon ke pul bandh rahe hain koh-e-nida se koh-e-nida


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close