lazzat-e-lams ka inkar nahin kar sakta dur baithe tujhe sarshaar nahin kar sakta jaise main doston se hans ke gale milta hun koi mamuli adakar nahin kar sakta ek do bar to rokunga murawwat mein tujhe sainkadon bar to israr nahin kar sakta bagh mein ek bhi phul ek bhi phal ke hote tu mujhe zist se bezar nahin kar sakta aisa kirdar kahani mein ada karna pada jo koi sahab-e-kirdar nahin kar sakta