le e'tibar-e-wada-e-farda nahin raha ab ye bhi zindagi ka sahaara nahin raha tum mujh se kya phire ki qayamat si aa gai ye kya hua ki koi kisi ka nahin raha kya kya gile na the ki idhar dekhte nahin dekha to koi dekhne wala nahin raha aahen hujum-e-yas mein kuchh aisi kho gain dil aashna-e-dard hi goya nahin raha allah re chashm-e-hosh ki kasrat-parastiyan zarre hi rah gae koi sahra nahin raha de un pe jaan jis ko gharaz ho ki dil ke baad un ki nigah ka wo taqaza nahin raha tum do-ghadi ko aae na bimar ke qarib bimar do-ghadi ko bhi achchha nahin raha 'fani' bas ab khuda ke liye zikr-e-dil na chhed jaane bhi de bala se raha ya nahin raha