parde mein samt-e-gharb ke mahtab bhi gaya aaya na yar pas mera khwab bhi gaya tauba to ki magar na hui dil ki kam hawas lo hath se wo jam-e-mai-e-nab bhi gaya wo sakht-jaan hun main ki na aai qaza mujhe meade mein barha mere zahrab bhi gaya masjid mein sar jhukaya jo main ne pa-e-namaz sajde ke sath hi kham-e-mehrab bhi gaya saya-fagan jo sar pe mere ibtida se tha hai hai wo aaj gulbun-e-shadab bhi gaya yaad aai nakhuda ko meri na-shanawari sar par se jab guzar mere sailab bhi gaya aa yar sath sath shab-e-parda-posh ke ab to farogh-e-mehr-e-jahan-tab bhi gaya jadu khayal-e-yar hai ai ham-nashin na puchh pas-e-lihaz-dari-e-ahbab bhi gaya duniya se kaise kaise jafa-kesh uth gae hum 'shad' hi ko rote the 'nayab' bhi gaya