milo to aise andheron ko bhi pata na lage chalo to aise ke jismon mein fasla na lage main aaj ganw mein chhode to ja raha hun tumhein dua karo ki mujhe shahr ki hawa na lage khuda wo waqt na lae hamare bachchon par ki jis ghadi unhen maon ki bhi dua na lage main us ka zikr kisi aur se nahin karta kahin ye mera rawayya use bura na lage ye tai kiya hai ki aisa fasana likkhunga wo bewafa kisi jumle se bewafa na lage bitha gaya tha koi aise ped ke niche ki jis ka ek bhi patta mujhe hara na lage ata kiye hain yun hi us ne rat-jage 'ishrat' ye zindagi mujhe khwabon ka silsila na lage