le ke apni zulf ko wo pyare pyare hath mein

le ke apni zulf ko wo pyare pyare hath mein
kahte hain fitnon ki choti hai hamare hath mein

saqiya donon jahan se phir to beda par hai
gar bat-e-mai aae dariya ke kinare hath mein

aashiqon ki aankh se har dam barasta hai lahu
rang par hai aaj-kal mehndi tumhaare hath mein

khub hai teri himayat pa ke lute naqd-e-dil
ai pari duzd-hinai mal mare hath mein

hashr mein hum samjhe aaya yar ke khat ka jawab
nama-e-amal jab aaya hamare hath mein

jab kabhi dast-e-hinai se katarta hai wo shokh
barq ban jate hain afshan ke sitare hath mein

munh chidhana be-sabab har-dam bigadna chhod do
ho agar ghusse mein aaina tumhaare hath mein

dast-e-saqi jam-e-jamshedi se badh kar hai mujhe
dono aalam ke main karta hun nazare hath mein

wasl hai ek shahsawar-e-husn se sham-o-sahar
hai inan-e-ablaq-e-gardun hamare hath mein

fikr thi un ko ki kyunkar kijiye aashiq ko qatl
aa gai tegh-e-ada-o-naz bare hath mein

misl-e-shakh-e-gul lachakti hai kalai bar bar
gajre phulon ke hain ya kangan tumhaare hath mein

wae-qismat dekhne paen na hum aankhon se bhi
le ke mashshata tere gesu sanware hath mein

kahte hain afshan ke zarre le ke peshani se wo
aasman se hum ne ye tare utare hath mein

band mahram ke wo khulwate hain hum se beshtar
aaj-kal sone ki chidiya hai hamare hath mein

nabz par mujh dil-jale ke ungliyan rakkhen agar
ai masiha aag lag jaegi sare hath mein

hath aana ab dil-e-gum-gashta ka mumkin nahin
chhup raha duzd-e-hina ja kar tumhaare hath mein

dil mera mutthi mein le kar mujh se kahta hai wo shokh
kya hai ai 'nazim' batao to hamare hath mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close