manga tha hum ne din wo siyah raat de gaya suraj hamein andhere ki saughat de gaya sikke mere khulus ke lauta diye mujhe apni samajh mein wo mujhe khairaat de gaya us ko ye zoam tha ki hai wo shaukat-e-chaman jangal ka ek phul use mat de gaya us ki hansi mein lai thi kis jal-tarang ki mere labon ko pyar ke naghmat de gaya mazmun-e-ishq par use kaamil giraft thi nazron se kaise kaise hawalat de gaya chehre se le gaya meri pahchan chhin kar na-sazgar waqt wo sadmat de gaya sab par meri nigah-e-karam ek si rahi main banjh dhartiyon ko bhi barsat de gaya insaf mujh ko de ki na de wo magar 'shabab' thoda sa waqt bahr-e-mulaqat de gaya