nazar ban kar tajalli jalwa-gar hai jahan be-sakhta sajde mein sar hai ye kis se khel ai dil kuchh khabar hai nazar hai ye hasinon ki nazar hai wo aate hain to aaen un ka ghar hai zahe-taqdir kya achchhi khabar hai kisi ka har-nafas dil mein guzar hai magar aankhon ko kya is ki khabar hai zara bhi sah nahin sakte jise tum wo kaifiyyat hamari umr bhar hai phir aage kya hua saqi hi jaane nazar mujh par padi itni khabar hai qayamat mein nishani zindagi ki meri tar-damani hai chashm-e-tar hai wo kya jaane kisi ke dil ki haalat jo apne haal hi se be-khabar hai qadam uthte nahin dil baithta hai khuda jaane ye kis ki rahguzar hai wo gesu khol kar aae chaman mein saba lai hai aur udti khabar hai juda hain ai 'zaki' wo jine wale magar jine ka ilzam apne sar hai