samajh ke rasta idhar se guzarne walon ne kahin ka chhoda na dil se utarne walon ne bane-banae hue raston pe chalte hue khuda banae khudai se darne walon ne hazar chhed kiye jholiyon mein apnon ki tumhaare nam pe khairaat karne walon ne tawil umr ki dheron duaen bheji hain mere charagh ko pani se bharne walon ne hamari aankh mein ek bund bhi nahin chhodi misal-e-abr falak par ubharne walon ne ye kis tarah ke ajab wahimon mein dal diya sharab o shahd ki tasdiq karne walon ne zaban-bandi pe majbur ho gai duniya wo khel khela hai hairat se marne walon ne charagh-e-rah ko ghaarat-gari sikhai hai hawa-e-shahr pe ilzam dharne walon ne