le uda phir koi khayal hamein saqiya saqiya sambhaal hamein ro rahe hain ki ek aadat hai warna itna nahin malal hamein khalwati hain tere jamal ke hum aaine ki tarah sambhaal hamein marg-e-amboh jashn-e-shadi hai mil gae dost hasb-e-haal hamein ikhtilaf-e-jahan ka ranj na tha de gae mat ham-khayal hamein kya tawaqqo karen zamane se ho bhi gar jurat-e-sawal hamein hum yahan bhi nahin hain khush lekin apni mahfil se mat nikal hamein hum tere dost hain 'faraaz' magar ab na aur uljhanon mein dal hamein