parda-e-dard mein aaram baTa karte hain

parda-e-dard mein aaram bata karte hain
us ki dargah mein inam bata karte hain

bab-e-saqi pe ilahi mera suraj dube
sham hote hi jahan jam bata karte hain

us ke dar par mujhe ai gardish-e-qismat le chal
sab nikammon ko jahan kaam bata karte hain

pyas mein dida-e-darwesh ne talim ye di
mai-kade jao jahan jam bata karte hain

dil-e-muztar ko tasalli wahi dega 'muztar'
jis ki dargah mein aaram bata karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close