zara si der ko aae the khwab aankhon mein phir us ke baad musalsal azab aankhon mein wo jis ke nam ki nisbat se raushni tha wajud khatak raha hai wahi aaftab aankhon mein jinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the hum wo aaine bhi hue be-hijab aankhon mein ajab tarah ka hai mausam ki khak udti hai wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein mere ghazal teri wahshaton ki khair ki hai bahut dinon se bahut iztirab aankhon mein na jaane kaisi qayamat ka pesh-khema hai ye uljhanen teri be-intisab aankhon mein jawaz kya hai mere kam-sukhan bata to sahi ba-nam-e-khush-nigahi har jawab aankhon mein