nazar pada ek but-e-pari-wash nirali saj-dhaj nai ada ka jo umr dekho to das baras ki pe qahr o aafat ghazab khuda ka jo ghar se nikle to ye qayamat ki chalte chalte qadam qadam par kisi ko thokar kisi ko chhakkad kisi ko gali nipat ladaka gale lipatne mein yun shitabi ki misl bijli ke iztirabi kahin jo chamka chamak chamak kar kahin jo lapka to phir jhapaka ye chanchalahat ye chulbulahat khabar na sar ki na tan ki sudh-budh jo chira bikhra bala se bikhra na band bandha kabhu qaba ka lada de aankhen wo be-hijabi ki phir palak se palak na mare nazar jo nichi kare to goya khila sarapa chaman haya ka ye rah chalne mein chanchalahat ki dil kahin hai nazar kahin hai kahan ka uncha kahan ka nicha khayal kis ko qadam ki ja ka ye rum ye nafrat ye dur khinchna ye nang aashiq ke dekhne se jo patta khatke hawa se lag kar to samjhe khatka nigah ke pa ka jatawe ulfat chadhawe abru idhar lagawat udhar taghaful kare tabassum jhidak de har dam rawish hatili chalan dagha ka na wo sambhaale kisi ke sambhle na wo manae mane kisi se jo qatl-e-ashiq pe aa ke machle to ghair ka phir na aashna ka jo shakl dekho to bholi bholi jo baaten suniye to mithi mithi dil aisa patthar ki sar ada de jo nam lije kisi wafa ka 'nazir' hat ja pare sarak ja badal le surat chhupa le munh ko jo dekh lewega wo sitamgar to yar hoga abhi jhadaka