leta hai jaan meri to mein sar-ba-dast hun ai yar main to kushta-e-roz-e-alast hun ek dam ki zindagi ke liye mat utha mujhe ai be-khabar main naqsh-e-zamin ki nishast hun tu mast kar sharab se ai gul-badan mujhe zalim main teri chashm-e-gulabi se mast hun dur-az-tariq mujh ko samajhiyo na zahida gar tu khuda-parast hai main but-parast hun in sang-dil buton ka gila kya karun 'nazir' main aap apne shisha-e-dil ki shikast hun