naqsh sare khak ke hain sab hunar mitti ka hai is dayar-e-rang-o-bu mein bast-o-dar mitti ka hai kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se aur kuchh apni tabiat mein asar mitti ka hai chandni khandan hai apne hujra-e-mahtab par aur main nazan hun is par mera ghar mitti ka hai rahmaten barsa ke bhi abr-e-karam chhatta nahin aise lagta hai ki saya charkh par mitti ka hai khak se uthte nahin chalti hawa ke sath hum ijz-e-khatir par bahut gahra asar mitti ka hai ek namuna hai kisi ki sanat-e-timsal ka ye jo khidki hai sada ki ye jo ghar mitti ka hai kyun na khu-e-khak se khasta rahe meri ana pa-ba-gil hun aur khamir-e-motabar mitti ka hai