lijiye khatm hua gardish-e-taqdir ka rang aaiye dekhiye mitti hui taswir ka rang hum ne jheli hain zamane mein kashish ki kadiyan hum se puchhe koi bigdi hui taqdir ka rang zikr-e-tadbir abas fikr-e-rihai be-sud jab ki mitta nazar aane laga taqdir ka rang hum bhi aae hain kafan bandh ke sar se qatil dekhna hai teri chalti hui shamshir ka rang kya bataun main tumhein soz-e-darun ki had ko din mein sau bar badal jata hai zanjir ka rang uf re wo zor-e-jawani ki ilahi tauba aaina tod ke nikla teri taswir ka rang hum samajhte hain zamane ki rawish ko 'alim' hum ne dekha hai badalte hue taqdir ka rang