talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu tadap rahi hai har taraf lahuluhan aarzu phira ke dida-e-tapan mein mom ke mujassame kahan kahan karegi did ka ziyan aarzu zara sa hath kya laga habab sa bikhar gaya jise samajh rahi thi ek aasman aarzu tu chashm hi mein rah agar pasand hai kushadgi ki dil hai tang aur is mein yak jahan aarzu isi ke hain sabab se sab ye hijr ki saubaten kahan se aa gai hamare darmiyan aarzu tu aaftab hai main gul dua tere sukun ki kisi ki shan qahr hai kisi ki shan aarzu ilahi khair itne sin pe aandhiyon ki dosti abhi to sikh pai bhi nahin udan aarzu shajar hajar zamin aasman sab ko zoaf hai magar ye ek jawan ki rahi jawan aarzu