tere qadmon ki aahat ko tarsa hun main bhi tera bhula hua ek rasta hun bite lamhon ke jhonke jab aate hain pal do pal ko main phir se khil uthta hun mujh se muzhda nai ruton ka paoge yaro main is ped ka antim patta hun shayad tum bhi ab na mujhe pahchan sako ab main khud ko apne jaisa lagta hun aaj ke kale sae kal tak phailenge mere bachcho main is baat se darta hun tum bhi kaise dhund sakoge ab mujh ko main khud apne-ap se ojhal rahta hun sayon ki khwahish ne mujhe jalaya hai ab main in ke nam se tapne lagta hun mujh se mil kar kis ko yaqin ab aaega main bhi tera tuta hua ek rishta hun