mauj-e-khayal-e-yar gham-e-asar aai hai kyun chahaton ke bich ye diwar aai hai ek bund hath aai hai patthar nichod kar aankhon se lab pe quwwat-e-izhaar aai hai hum dushmanon mein apni zaban haar aae hain jab hath kat chuke hain to talwar aai hai kyun aasman ne dast-e-tahi phir kiya daraaz kyun dhup zer-e-saya-e-diwar aai hai suraj jhulas gaya hai har ek shakh-e-jism-o-jaan din dhal gaya to ghar mein shab-e-tar aai hai be-saut tha 'mujibi' har ek naghma-e-khayal tuta jo dil to saz ki jhankar aai hai