meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar pahadon par chamakti bijliyan niklin udhar chal kar zaban ka zaiqa bigda hua hai mai pila saqi sumum-e-dasht ne sab rakh diye kaam-o-dahan tal kar rumuz-e-zindagi sikhe hain mere shauq-e-wahshat ne kai sahib-nazar zindaniyon ke bich mein pal kar ye kis zauq-e-numu ko aaj dohrane bahaar aai lahu hum sarfaroshon ka jabin-e-naz par mal kar wo jin ki khu se kal ek abr-e-tar khwab-e-mohabbat tha unhi ko rakh diya phir kyun khule hathon se mal-dal kar rukh-e-dauran pe hai ek nil sa karb-e-taghayyur se waraq tanbe ka kho deta hai rangat aag mein gal kar hari shamen si anguron ki belon mein jo chamkin thin wahi ab surkh rangon mein jali hain jam mein dhal kar wahi ek ru-e-atish-rang hai halki si dastak hai samundar par ki mauj-e-hawa jati nahin tal kar jab aai saat-e-be-tab teri be-libasi ki to aaine mein jitne zawiye the rah gae jal kar mahak mein zahr ki ek lahr bhi khwabida rahti hai ziden aapas mein takraati hain farq-e-mar-o-sandal kar shab-e-afsana-khwan to shahr ki aakhir hui 'madni' kahan jate ho tum nikle hue yun nind mein chal kar