raat bhar khwab ke dariya mein sawera dekha din ke sahil pe jo utre to andhera dekha khud ko likkha bhi hai main ne hi mitaya bhi hai khud qalam-e-ghair ne saya bhi na mera dekha jin ke chehron pe chamak nur ka haala atraf un ke zehnon ko jo khola to andhera dekha jin ke teshon ko raha koh-kani ka dawa unhen mahlon ka bhi karte hue phera dekha jo mujhe dene ko aate the gham apne aksar un ki khushiyon ne kabhi ghar bhi na mera dekha umr kul guzri thi padhte hue chehra tera aaj dhunda to kahin aks na tera dekha jo mujhe barg-e-khizan samjhi thin un aankhon ne nam auraq-e-bahaaran pe bhi mera dekha