yaadon ke bagh se wo hara-pan nahin gaya sawan ke din chale gae sawan nahin gaya thahra tha ittifaq se wo dil mein ek bar phir chhod kar kabhi ye nasheman nahin gaya har gul mein dekhta rukh-e-laila wo aankh se afsos qais dasht se gulshan nahin gaya rakkha nahin musawwir-e-fitrat ne mu-qalam shah-para ban raha hai abhi ban nahin gaya main ne khushi se ki hai ye tanhai ikhtiyar mujh par laga ke wo koi qadghan nahin gaya tha wada sham ka magar aae wo raat ko main bhi kiwad kholne fauran nahin gaya dushman ko main ne pyar se raazi kiya 'shuur' us ke muqable ke liye tan nahin gaya