log bhuke hain bahut aur niwale kam hain zindagi tere charaghon mein ujale kam hain bad-suluki bhi nikal aai hai zindanon se bad-zabanon ki zabanon pe bhi tale kam hain mai-kashi ke liye nayab hain jo sadiyon se chashm-e-saqi ne wahi jam uchhaale kam hain tu ne buzdil to banae hain bahut se lekin mere malik teri duniya mein jiyale kam hain rah-e-pur-khar se darta hai abhi tu 'azar' aisa lagta hai tere paon mein chhaale kam hain