log giton ka nagar yaad aaya aaj pardes mein ghar yaad aaya jab chale aae chaman-zar se hum iltifat-e-gul-e-tar yaad aaya teri begana-nigahi sar-e-sham ye sitam ta-ba-sahar yaad aaya hum zamane ka sitam bhul gae jab tera lutf-e-nazar yaad aaya to bhi masrur tha is shab sar-e-bazm apne sheron ka asar yaad aaya phir hua dard-e-tamanna bedar phir dil-e-khak-basar yaad aaya hum jise bhul chuke the 'jalib' phir wahi rahguzar yaad aaya