zamana lakh samajhta ho ahmiyat meri meri nazar mein nahin koi haisiyat meri koi to tha jo meri zindagi se guzra tha bata rahi hain zamane ko kaifiyat meri main sari duniya ko apna hi ghar samajhne lagun na koi shahr ho mera na shahriyat meri nawazishon ne zamane ki mujh ko chaunkaya mujhe kahan thi pata koi khasiyat meri ye sher-o-shaeri meri ye mere chand khayal yahi asasa mera ye hi milkiyat meri chhupa ke dard jo karti rahi adakari samajh mein aa gai ab tum ko asliyat meri main in dukhon ka gila kis liye karun ai 'siya' inhi dukhon ne nikhaari hai shakhsiyat meri