wasl ke din ka ishaara hai ki dhal jaunga dil ye kahta hai ki qabu se nikal jaunga aatish-e-ishq badhi jati hai baitho dam-bhar garm-raftar rahoge to main jal jaunga intizar aap ka aisa hai ki dam kahta hai nigah-e-shauq hun aankhon se nikal jaunga dil se kahta hai shab-e-wasl yahi shauq-e-visal main wo arman nahin hun ki nikal jaunga saikdon zakhm lagenge na hatunga qatil shajar-e-bagh-e-mohabbat hun main phal jaunga ahd-e-tifli se ye kahta tha mizaj-e-jaanan dekh lena ki jawani mein badal jaunga tifl-e-ashk aankh tak aata hai ye kahta hai 'rashid' mujh ko mardum ne jo roka to machal jaunga