rah zid ki na iKHtiyar karo

rah zid ki na ikhtiyar karo
sachchi baaton pe eatibar karo

apne bal par karo jo karna ho
kyon kisi par tum inhisar karo

mushkilen zindagi mein aati hain
gham se khud ko na ham-kanar karo

har wajud-e-bashar ghutan mein hai
kuchh fazaon ko khush-gawar karo

izzat-o-qadr panw chumegi
apne akhlaq ustuwar karo

dastan hai abhi tawil bahut
jao ghar kal ka intizar karo

faeda bhi hai is se kya 'anjum'
mere zakhmon ko mat shumar karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close