log hilal-e-sham se badh kar pal mein mah-e-tamam hue hum har burj mein ghatte ghatte subh talak gumnam hue un logon ki baat karo jo ishq mein khush-anjam hue najd mein qais yahan par 'insha' khar hue nakaam hue kis ka chamakta chehra laen kis suraj se mangen dhup ghur andhera chha jata hai khalwat-e-dil mein sham hue ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue shauq ki aag nafas ki garmi ghatte ghatte sard na ho chah ki rah dikha kar tum to waqf-e-daricha-o-baam hue un se bahaar o bagh ki baaten kar ke ji ko dukhana kya jin ko ek zamana guzra kunj-e-qafas mein ram hue 'insha'-sahib pau phatti hai tare dube subh hui baat tumhaari man ke hum to shab bhar be-aram hue