tu ne nazar se pyas ki dekha bhi hai kahin gard-e-jabin-e-dasht mein dariya bhi hai kahin phirta raha hun jis ke taaqub mein umr-bhar kya naqsh us khayal ne chhoda bhi hai kahin ya sab hi meri tarah ke aawara-gard the dil mein koi qarar se baitha bhi hai kahin hum bhi ajab the ghaaron mein utre ye dekhne bach kar nikalne ka koi rasta bhi hai kahin kuchh dekhte ki khak mein hain dafn khwab kya ye gard-baad lamhe ko thahra bhi hai kahin phulon ki samt hath badhao ye soch kar afi siyah shakh se lipta bhi hai kahin sari sadaen ghaib se aati nahin 'shafaq' koi zarur dasht mein baitha bhi hai kahin