log jo sahab-e-kirdar hua karte the bas wahi qabil-e-dastar hua karte the ye alag baat wo tha daur-e-jahaalat lekin log an-padh bhi samajhdar hua karte the samne aa ke nibhate the adawat apni pith pichhe se kahan war hua karte the jin qabilon mein yahan aaj diye hain raushan un qabilon ke to sardar hua karte the tab adalat se riayat nahin mil pati thin tab gunahgar gunahgar hua karte the kya zamana tha mahakti thin wo kyari ghar ki ghar ke aangan gul-o-gulzar hua karte the qaid mazhab ki na thi kal ke padosi donon ek duje ke madad-gar hua karte the ghar ke sab log nibhate the khushi se jin ko ghar ke har fard ke kirdar hua karte the