taza tasalliyon se purane sawal kar shaista-e-azab zara dekh bhaal kar udti hai aasman mein rangon ki dhul kyun dekhenge hum hawa ko hawa mein uchhaal kar dil par ajib gard hai aankhon mein hai ghubar do-chaar kaam aaj to fursat nikal kar aapas mein lad pade hain kisi masale pe log apna bhi ek shakhs hai patthar sambhaal kar