log ki jin ko tha bahut zom-e-wajud shahr mein phail ke rah gae faqat surat-e-dud shahr mein hum se jahan anek the bad the wahi ki nek the sach hi to hai ki ek the bud-o-nabud shahr mein tangi-e-rizq ka gila jin ko yahan sada raha! tod ke dekhte zara apni hudud shahr mein itne baras ke baad bhi log hain hum se ajnabi jaane hua tha kis ghadi apna warud shahr mein rah-e-amal pe gher ke khud ko hi lao pher ke wo to gaya bikher ke rang-e-jumud shahr mein mujh ko chalo na manta nam to koi jaanta main bhi jo yar chhanta khak-e-numud shahr mein mujh se wo kya bichhad gaya aur bhi main ujad gaya chhod ke mujh ko badh gaya mera wajud shahr mein mujh se zamin-e-zer-e-pa us ne jo chhin li to kya kham to nahin hua mera khatt-e-umud shahr mein