wafa ka zikr ho be-mehri-e-butan ki tarah yahan khulus bhi arzan hai naqd-e-jaan ki tarah kabhi jo haal-e-dil-e-khun-chakan ka zikr chale sunaiye unhen rudad-e-digaran ki tarah saron ke chand farozan hain rah-e-ulfat mein chamak rahi hai zamin aaj kahkashan ki tarah kisi masih ke qadmon ki aahaten sun kar salib jhum uthi shakh-e-ashiyan ki tarah kahan se laiye ranai-e-khayal 'shamim' subu-e-dil bhi hai khali subu-e-jaan ki tarah