na ibtida-e-junun hai na intiha-e-junun bas ek fitna hai kahiye jise ada-e-junun wo gul ki tarah se hansta hai meri haalat par irada ab hai koi aur gul khilae junun kamal ye hai khirad bhi talash karti hai bara-e-sajda-tazim naqsh-e-pa-e-junun ye apni apni tabiat hai kya kiya jae tumhein rulae junun aur mujhe hansae junun wajud-e-ashiq-o-mashuq se jahan raushan wo nur-e-wasl hai jis se ki jagmagae junun asar ye hota hai suraj bhi jag uttha hai ki chhed karti hai ghunchon se jab saba-e-junun wo mujh se martaba-e-ishq mein buland rahe khuda kare wo chala jae mawara-e-junun jo tujh ko chhuta hai anmol ho hi jata hai tere wajud mein hai yar kimiya-e-junun 'suhail' us ko bhi hai e'tiraf-e-jazba-e-shauq wo ban gaya hai mubarak ho dil-ruba-e-junun