misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan jins to hai pe zulekha sa kharidar kahan faiz hota hai makin par na makan par nazil hai wahi tur wale shola-e-didar kahan aish o rahat ke talashi hain ye sare bedard ek hum ko hai yahi fikr ki aazar kahan ishq agar kijiye dil kijiye kis se khali dard o gham kam nahin is daur mein gham-khwar kahan qaidi us silsila-e-zulf ke ab kam hain 'yaqin' hain dil-azar bahut jaan-giraftar kahan