main ghazal ka harf-e-imkan masnawi ka khwab hun apni sab rudad likhne ke liye betab hun main babulon ki tarah phula-phala hun dasht mein abr aae ya na aae main sada shadab hun mauj-e-sahba hun agar hai zarf yaran aaina kuchh ghubar aae nazar to sar-ba-sar girdab hun main hun ek viran sitara-gar hai koi na-shanas koi hai raushan-nazar to chashma-e-mahtab hun kya samajh kar mujh se uljhe hain 'hasan' lail-o-nahaar aap apna roz-o-shab hun aap aalam-tab hun