lutf-e-nigah-e-naz ki tohmat uthae kaun kuchh der ki bahaar ko khatir mein lae kaun dil chiz kya hai dil se mohabbat jatae kaun apna jo khud na ho use apna banae kaun tere huzur tujh se khafa ho ke jae kaun zakhm-e-dil-e-tabah pe nashtar lagae kaun mana harim-e-naz ke pardon mein hai koi lekin harim-e-naz ke parde uthae kaun han han mujhe tumhaare taghaful ka gham nahin is daur-e-khudrawi mein kise aazmae kaun pad jae lakh waqt magar ye nahin qubul main dekhta rahun ki mere kaam aae kaun kaisi bahaar kis ke sitare kahan ke phul jab tum nahin to dida-o-dil mein kaun samae kaun zauq-e-amal na zauq-e-junun har taraf sukun jannat agar yahi hai to jannat mein jae kaun mahfil mein koi sokhta-jaan hi nahin 'shakil' soz-o-gudaz-e-shama pe aansu bahae kaun