yahan to qafile bhar ko akela chhod dete hain sabhi chalte hon jis par hum wo rasta chhod dete hain qalam mein zor jitna hai judai ki badaulat hai milan ke baad likhne wale likhna chhod dete hain kabhi sairab kar jata hai hum ko abr ka manzar kabhi sawan baras kar bhi piyasa chhod dete hain zamin ke masalon ka hal agar yun hi nikalta hai to lo ji aaj se hum tum se milna chhod dete hain mohazzab dost aakhir hum se barham kyun nahin honge sag-e-izhaar ko hum bhi to khulla chhod dete hain jo zinda ho use to mar dete hain jahan wale jo marna chahta ho us ko zinda chhod dete hain mukammal khud to ho jate hain sab kirdar aakhir mein magar kam-bakht qari ko adhura chhod dete hain wo nang-e-admiyat hi sahi par ye bata ai dil purane doston ko is tarah kya chhod dete hain ye duniya-dari aur irfan ka dawa 'shuja-khawar' miyan irfan ho jae to duniya chhod dete hain