taswir-e-zulf-o-ariz-e-gulfam le gaya murghan-e-quds ke liye gul-dam le gaya duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya main gor mein charagh sar-e-sham le gaya ki tark main ne shaikh-o-barahman ki pairwi dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya kya kya dikhai sair-e-safed-o-siyah-e-dahr kis kis taraf ko ablaq-e-ayyam le gaya eajaz main ne rajat-e-khurshid ka kiya baala-e-baam us ko sar-e-sham le gaya bhatke phire do amla-e-dair-o-haram mein hum is samt kufr us taraf islam le gaya chehle ke gul chadhae koi meri qabr par main aarzu-e-wasl-e-gul-andam le gaya pistan-e-nau-damida ne malwae khub hath main dagh-e-hasrat-e-samar-e-kham le gaya didar dostan-e-watan ka dikha diya mujh ko adam mein ablaq-e-ayyam le gaya pahna kafan to kucha-e-qatil main pai rah kabe mein mujh ko jama-e-ehram le gaya rah-e-adam mein sair-e-charaghan nazar padi turbat mein dagh-e-gham dil-e-nakaam le gaya dozakh mein jal gaya kabhi jannat mein khush raha mar kar bhi sath gardish-e-ayyam le gaya nafrat hui do-rangi-e-lail-o-nahaar se main subh-o-sham us ko lab-e-baam le gaya zer-e-zamin ghurub hua aaftab aaj turbat mein dagh baada-e-gulfam le gaya tir-e-sitam se mil ke uda jaanib-e-adam par aap ke khadang se main dam le gaya main justuju-e-kufr mein pahuncha khuda ke pas kabe tak un buton ka mujhe nam le gaya saqi ke pas wusat-e-mashrab ne rah di main kasa-e-falak ewaz-e-jam le gaya kuchh lutf ishq ka na mila jite-ji 'munir' nahaq ka ranj muft ka ilzam le gaya