mayusiyon ka aalam andaz-e-guftugu mein nakaamiyon ka matam izhaar-e-arzu mein muhtaj-e-ghair kab tha qissa mera tumhaara kya dakhl tha kisi ka aapas ki guftugu mein afsana-e-wafa ki qaem ho koi surkhi aankhon se ashk niklen dube hue lahu mein wo hain jafa ke khugar mujh ko wafa ki khwahish main un ki justuju mein wo meri justuju mein manzil pe kya pahunchte allah re na-muradi utthe qadam to baitha dil rah-e-justuju mein ghafil gulon ka is mein kal tak pata na hoga kya mahw ho raha hai duniya-e-rang-o-bu mein zahid ko mai-kade mein le aae kash koi kambakht mar mitega jannat ki aarzu mein sau chaak ho rahe the har chaak se numayan karte rafu kahan tak daman-e-arzu mein 'masud' ek saghar kafi tha bahr-e-ishrat kyon pi sharab itni kanta laga gulu mein