su-e-sahra hi mujhe le gai wahshat meri tere dar par na hui aah sukunat meri hai masihai ka dawa to jila le aa kar dam labon par hai zara dekh to surat meri main ne bazar-e-jahan mein liya sauda tera husn-e-yusuf pe fida kya ho tabiat meri bagh-e-alam mein gham-e-ishq ka phal rahat hai mojib-e-izz-o-karamat hui zillat meri hun main aawara-o-gum-gashta rah-e-maqsad ka hazrat-e-khizr se kya hogi hidayat meri main muqim-e-dar-e-jaanan hun wo tanha dasht-naward josh-e-ulfat mein hai kya qais se nisbat meri ud ke pahuncha sar-e-gardun pe bagula ban kar baad mitne ke buland utni hai himmat meri pas mere jo na aae koi shikwa kya hai karti hai be-kasi-e-ishq rifaqat meri nara-zan rad ke manind gham-e-hijr se hun sifat-e-'barq' tadapne ki hai aadat meri