tadap hayat se baham nahin to kuchh bhi nahin khushi ke sath agar gham nahin to kuchh bhi nahin hazar roiye haal-e-tabah par apne kisi ki aankh agar nam nahin to kuchh bhi nahin tumhaari baat masiha-sifat sahi lekin hamare zakhm ka marham nahin to kuchh bhi nahin ghalat hai khun ke aansu bahana marne par jo zinda lash ka matam nahin to kuchh bhi nahin hazar rang se mahfil saja ke tum dekho tumhaare sath agar hum nahin to kuchh bhi nahin chaman ko naz na ho jis pe wo bahaar hi kiya agarche phul pe shabnam nahin to kuchh bhi nahin 'nazar' zarur hai hathon mein un ke jam magar 'nazar' mein kaif ka aalam nahin to kuchh bhi nahin