wahin ruke hain jahan mod dastan ka tha wo fasla hi raha hai jo darmiyan ka tha usi dayar mein hum ne bhi din guzare hain khayal sab ko jahan apni aan-ban ka tha hamare panw ke niche zamin aisi thi qadam-qadam pe guman jis pe aasman ka tha isi liye to lahu ro ke bhi hansi aai main jaanta hun ki wo tir kis kaman ka tha idhar bhi aae the arjun ke ban ki surat samajh liya hai ishaara jo mehrban ka tha chaman mein ghuncha-o-gul ki shaguftagi dekhi phir us ke ba'd jo khulna meri zaban ka tha nigar-e-subh ke hamrah ban-sanwar ke gaya wo rahne wala jo ujde hue makan ka tha hamari himmaten 'iqbaal' hum ko le aain idhar to rukh na hawa ka na baadban ka tha