mat kisi ki be-rukhi par ghaur kar pahle tu apni kami par ghaur kar muflis-o-nadar par bhi ye sitam kuchh to us ki bekasi par ghaur kar mil gai manzil use fil-faur hi us muqaddar ke dhani par ghaur kar aa raha hai wo samundar se magar jaan-ba-lab hai tishnagi par ghaur kar hai badi kamzor dori zist ki chaar din ki chandni par ghaur kar manzil-e-maqsud pana hai agar aaj-kal ki rahbari par ghaur kar tirgi-e-jehl chhant jae abhi ilm ki tu raushni par ghaur kar tujh ko buddhu kah rahe hain log sab kuchh to apni sadgi par ghaur kar ho rahe hain hadse 'tariq' miyan zist ki na-pukhtagi par ghaur kar