maal-e-naghma-o-matam farokht hota hai khushi ke sath yahan gham farokht hota hai wo jis ko aaj bhi kuchh log husn kahte hain ba-sad-nigarish-e-paiham farokht hota hai fareb-khurda tabassum kharidne ke liye waqar-e-dida-e-pur-nam farokht hota hai bade hasin ghanere siyah pardon mein jamal-e-ismat-e-maryam farokht hota hai bahaar-e-wadi-e-gang-o-jaman ke sath yahan waqar-e-kausar-o-zamzam farokht hota hai wo jism-e-marmarin nazren bhi jis ko chhu na sakin barae-raunaq-e-alam farokht hota hai tilism-khana-e-sad-rang-o-bu mein ai 'saghar' fareb-e-shola-o-shabnam farokht hota hai