main jis jagah bhi rahunga wahin pe aaega mera sitara kisi din zamin pe aaega lakir khinch ke baithi hai tishnagi meri bas ek zid hai ki dariya yahin pe aaega muhib sae badhe aate hain hamari taraf kab e'tibar hamein dur-bin pe aaega ab is ada se hawaen diye bujhaengi ki ittiham bhi khana-nashin pe aaega kaman-e-waqt ne hum ko hadaf banaya hai kahin se tir chalega hamin pe aaega uda raha hun ghubara magar khabar hai mujhe zara si der mein wapas zamin pe aaega