mat bura usko kaho garche wo achchha bhi nahin

mat bura us ko kaho garche wo achchha bhi nahin
wo na hota to ghazal main kabhi kahta bhi nahin

jaanta tha ki sitamgar hai magar kya kije
dil lagane ke liye aur koi tha bhi nahin

jaisa be-dard ho wo phir bhi ye jaisa mahbub
aisa koi na hua aur koi hoga bhi nahin

wahi hoga jo hua hai jo hua karta hai
main ne is pyar ka anjam to socha bhi nahin

hae kya dil hai ki lene ke liye jata hai
us se paiman-e-wafa jis pe bharosa bhi nahin

barha guftugu hoti rahi lekin mera nam
us ne puchha bhi nahin main ne bataya bhi nahin

tohfa zakhmon ka mujhe bhej diya karta hai
mujh se naraaz hai lekin mujhe bhula bhi nahin

dosti us se nibah jae bahut mushkil hai
mera to wada hai us ka to irada bhi nahin

mere ashaar wo sun sun ke maze leta raha
main usi se hun mukhatib wo ye samjha bhi nahin

mere wo dost mujhe dad-e-sukhan kya denge
jin ke dil ka koi hissa zara tuta bhi nahin

mujh ko banna pada shair ki main adna gham-e-dil
zabt bhi kar na saka phut ke roya bhi nahin

shairi jaisi ho 'ajiz' ki bhali ho ki buri
aadmi achchha hai lekin bahut achchha bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close