sare aalam mein teri khushbu hai ai mere rashk-e-gul kahan tu hai barchhi thi wo nigah dekho to lahu aankhon mein hai ki aansu hai ek dam mein hazar daftar tai chashm-e-hasrat ghazab sukhan-go hai tu hi tu aur baal baal apna fakhta aur shor-e-ku-ku hai tujh ko dekhe phir aap mein rah jae dil par itna kisi ko qabu hai josh-e-ashk o tasawwur-e-qad-e-yar sarw goya khada lab-e-ju hai had na puchho hamari wahshat ki dil mein har dagh chashm-e-ahu hai jis ne momin bana liya hum ko wo tumhaara hi mushaf-e-ru hai jis ke kushte hain zinda-e-jawed wo tumhaari hi tegh-e-abru hai dil jo be-muddaa ho kya kahna yahi virana aalam-e-hu hai pul bhi hai fakhr-e-jaunpur 'asi' khwab-gah-e-janab-e-shekhu hai